Monday, October 18, 2010

1102~*Main Ne Pahle Hi Kaha Tha*~Pak Old...


*Main Ne Pahle Hi Kaha Tha*~Pak Old...


Main ne pahle hi kaha tha k

Mohabbat na karo

Tum mere piyar ko thukrao ge pachtao ge

Bhul jene ki woh koshish main jhatakna sar ko

Ho k majboor woh takiye pe pathakhna sar ko

Kashmakash main dil ulhaj jaye ga

Waqt wapas naheen ata hai samjh jaye ga

Apni shadi pe raza mand jo ho jao ge

Apni dulhan k khayalaat main kho jao ge

Is tasawar main magar koi kami pao ge

Hone wali k mukabil main mujhye lao ge

Apni hasti jo gunahgaar nazar aye gi

Moun se besakhta ek ahh nikal jaye gi

Woh tarashe ka namona nazar aoo gi kabhi

Aina dekh k chaire ko choupao gi kabhi

Hath mal mal k dopate se phirao gi kabhi

Muthiyaan beech k hontoon ko chabao gi kabhi

Apne age se kitaboon ko hatao gi kabhi

Sar ko dewaar se takiye se lagao gi kabhi

Karwateen leti hui mouj nazar aoo gi

Kiya karon kiya na karon soch k ghabrao gi

Itna ghabrao gi kamre se nikal aoo ge

Tere lab phir mere ashehaar ko dohrao ge

Main ne pahle hi kaha tha k

Mohabbat na karo

Tum mere piyar ko thukrao gi pachtao gi,

No comments:

Post a Comment